Monday, October 6, 2008

KUCHH SEEKHO MANAV!

Gaganchumbi patang ko,
kabhi neele aasmaan me dekha hai?
Dekho tum uska yash b,
jo patle dhage se bandhi-
gagan chumne chali,
bina jaat-paat ki or jhuke,
bina havaa roke ruke.

Kabhi khush hote bachhe ki,
kilkari par socha hai?
ki kitna mail hai tumhare andar,
tum kyu nhi yese hanste ho.
khush hone ko b,
pal pal kyu taraste ho.

Khilti kaliya phool bane,
to dekho unka b yash.
gandh- sugandh ki byaar chale,
bhanvre b chuse ras.

Prakrati se kuchh seekho manav,
apne ko sanvaro.
jeevan ek baar mila hai,
usko to nikharo!!

Wednesday, September 10, 2008

My 2nd poem

AADAT

Hume to aadat hai,
tumhari har baat manne ki.
Hume to aadat hai,
tumhe hasaane, tumhe rulaane ki.

hum hum nhi rehte,
jab sang tumhare rehte hai,
ban jate hai tumhari parchhai.......
sang tumhare chalte hai,
har pal, har dum.

tum khush ho lagta hai,
mei khush hu..........
chahe mei sahta rahu kitne b gum.
tum hanso to,
pata hu apne ko,
hansta aur hansata......
bhool kar k saare gum.

kya karu,
ye hi to aadat hai.
kab kaise ban gai,
pata hi na chala.

par aadat hai,
to juld hi jayegi nhi........
vaise, mitana b kaun chahta hai,
ye,achhi aadat.


myself

Tuesday, September 9, 2008

MY POEM.......

koshish

kash koshish hoti,
kuch karne ki to,
mei karta sabse pehle,
koshish tumhe zindagi ki har khushi dene ki,
tumhe, har gam ko kam karne ki,
aur tumhe apnapan dene ki.........

par kya karu,
hai hi nhi kuch karne ki aadat,
isiliye to tumhari zaroorat hai.


tumhe bheja hai sayad isiliye.....
usne, ki do tum mujhe vo sab jo vah,banaate vaqt mujhe nhi de paya.
aakhir mitr isiliye to bheje hai usne.


(myself)